Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

आ राह है गांधी फेरी से

 

Sunkar cheekh dukhant pidit vishv ki
TaruN giri par chadhkar shankh fUnkati
Chir trisnakul vishv ki pid miTane
Guhon men, kandaraon men vihad vanon se jhelati
Sindhu, shailesh ko ullasit karti
Himalay vyom ko chUmti, wo dekho!
PuvaI aa rahi hai swarg lok se bahti
 
Lahraa rahi hai chetna, triNon ke mUl tak
MahavaNi uttirN ho rahi hai, swarg se bhU par
Bharat mata cheekh rahi hai, prasav ki pid se
Lagta hai garivon ka masiha Gandhi
Janam le raha hai, dhara par fir se
 
Ab sabon ko milega swarNim ghuT se
Nav jivan ka jivan ras, ek samaan
Kyonki tejmayi jyoti bichhane waali hai
Jalad jal banker bharat ki bhUmi par
Jisake charaN pavitr se sangam hokar
Dharti hogi hari, neelkamal khilenge fir se
 
Ab nahin hoga khaara koI sindhu, maanav vansh meN ashru se
Kyonki rajat tari par chadhkar, aa rahi hai aasha
Vishw – maanav ke hriday grih ko, aalokit karne nabh se
Ab gunjne laga hai uska nirghos, lok garjan men
Vdyut ban chamaakne laga hai, jan – jan ke man men

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ