Bund hu ek nanhi si
Sahej lo toh saagar ban jau
Nahi toh mati me sama jau
Vraksho ke kapolo me
Sward aabha jaisi chamku
Ravi ke tej se kahi apna astitva na kho du
Swati ke nakshtra ke din
Siip ke aagosh me jau
Moti bankar phir me itrau
Baraste barste pahuch jau
Kisi vykti ke mukh pe
Toh aanshu si me diklau
Saari milkar jab ham barse
Toh kard priya sangeet ban jau
Sheet lahar me jau me
Toh shawet si barf ban jau
Bund hu ek nanhi si
Jisme chaaho dhal jau
Pragya saini
Powered by Froala Editor
LEAVE A REPLY