Rach gaya sampurd jagat
Badal gaye parivash
Bacha na koi desh
Rastra bhasha ka kar apman
Hota phir bhi khud par man
Neta abhineta saare
Ek hi boli bole
Naari ko lajjit karke
Apne ko uuncha samje
Raag rang or chalke jaam
Neta toh khud hai badnam
Gandhi neharu ne apnaya
Sanskriti ka saccha maarg
Bharst neta ne toh gaaya
Paschatya sanskriti raag
Jab jab hoga ye gaan
Nahi hoga sanskriti uthan
Chod iss yug ko ham
Chale thoda piche ki aur
Hogi phir nayi bhor
Hamari sanskriti hogi charo aur
Pragya sankhala
Powered by Froala Editor
LEAVE A REPLY