Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Pita ka pyar

 


Pyar ka saagar le aate
Phir chahe khuch na kah pate
Bin bole hi samaj jate
Dukh ke har kone me
Khada unko pahele se paaya
Choti si ungali pakdkar
chalna unhone sikhaya
jivan ke har pahlu ko
apne anubhav se bataya
har uljhan ko unhone
apna dukh samj suljaya
dur rahkar bhi hamesha
pyar unne ham par barsaaya
ek choti si aahat se
mera saaya pahchna
meri har siskiyo me
apni aanko ko bhigoya
aashirwad unka hamesha hamne paaya
har khushi ko meri pahle unne jana
asmajnjas ke palo me
apna viswas dilaya
unke iss vishwas ko
apna aatam vishwas banaya
aise pita ke pyar se
bada koi pyar na paaya

 

 

pragya sankhala

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ