Nazar saaki par hain, aur lab paimaane par
Dil hamara hai aaj fir, kisi kay nishaane par
Woh khaali pyala liye letein hain, kabar main apni
Kehte hain sharab milaegi, jannat kay aane par..
Hamari kahani sunn sakee ki bhi aankhon main aansoo aa jate hain,
Saare mehkhane ki sharab peekar bhi hum nashe main nahi aate hain,
Kya karein sakee aab toa itni jyada peene lage hain,
Kay hum mehkhane main bhi darwaje se lauta diye jate hain.
Bichdee huae yaar hain millee par unkii yaade nahi bichdii
Gamm unke diye hain par unki chaah nahi bichdii
Saaki bottal khol de aaj saari tere maikhaane kii
Deekhen aaj pehmaano main rehta hai gamm ya hamare dil main
Itna khusnasib to hum na the
Hamari taqdia mai sitam kam na the
Fir kyo hum kuda ko itna bha gye
ki Banakar Dost aap Hamare zindgi me aa gaye
Chandni raat mein barsat buri lagti hai,
Saamne ho laash to baraat buri lagti hai,
Lakh samjhayein lakh behlayein ye jamane wale,
Dil main ho dard to har baat buri lagti hai
Powered by Froala Editor
LEAVE A REPLY