Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Aee Dil Hai Mushkil

 

 

Khuda Se Bhi Jyada Khuda Banaya Tha Tujhe
Jism Se Ruh Tak Ka Dard Banaya Tha Tujhe
Ek Aandhi Aayi Pal Me Sab Tabah Kar Gayi
Har Kami Me Ab Teri Kami Reh Gayi
Karna Chaha Magar Kuch Na Hua Hasil
Tere Bin Bhi Kya Jeena Wo Jeena
Aee Dil Hai Mushkil...

 

 

Badi Khubsurat Si Thi Wo Nighahein Jisme The Hum Base
Nasib Hue Teri Baahein, Jinse Simatkar Kabhi Hum Roye
Galtiya Jo Ki, Saja Me Hume Tanhai Mil Gayi
Tanhai Bhi Teri Yaadon Ke Sahare Jinda Chod Gayi
Fariyaad Jo Teri Dil Me Hue Shamil
Tere Bin Bhi Kya Jeena Wo Jeena
Aee Dil Hai Mushkil...

 

 

Khudgarz Nahi Tha Mai, Har Saans Me Basaya Tha Tujhe
Galat Faimiyon Se Tha Bandha, Khudko Jalakar Dard Diya Tha Tujhe
Baatein Khatm Na Honewali, Khamosh Tu Kar Gayi
Wafa Tune Ki Magar Waqt Ki Ghadi Bewafai Kar Gayi
Kadar Ki Magar Halat Mera Katil
Tere Bin Bhi Kya Jeena Wo Jeena
Aee Dil Hai Mushkil...

 

 

Written By RuPesh Sawardekar!

 

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ