Ye Hasi En Labon Pe Aake Ruk Jati Hai
Tera Masoom Sa Chehra Dekhkar Puri Ho Jati Hai
Ye Aankhein Yu Nam Ho Jati Hai
Tere Na Hone Ka Ehasaas De Jati Hai
Pehchante The Jise Ab Aur Kareeb Se Use Janane Lage
Khuda Ka Shukriya, Hum Khuda Se Hi Khuda Mangane Lage
Muskaan Jo Dil Chu Jaye
Usi Muskaan Ko Apne Labon Pe Sajane Lage
Mangate The Us Rab Se Khushi
Aur Tum Hi Wo Aankhari Raastan Banane Lage
Anjaane Safar Me Ek Naya Mod Banane Lage
Aazad Parinde Hum Aasmaa Me Udane Lage
Teri Khatir Jeene Lage
Chalti-Badalti Zindagi Me Hum Khone Lage
Baaton Hi Baaton Me Ek Duje Ko Apna Banane Lage
Apnane Lage
Har Saans Jo Adhoori, Tum Puri Banane Lage
Ha Tumhi Hasi...Zindagi Banane Lage
Written by Rupesh Sawardekar!
Powered by Froala Editor
LEAVE A REPLY