Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Itni Si Baat Hai

 

Zuki Palke Uthi Toh Tera Deedar Hua
Padi Jab Unki Nighahe Humpe, Kuch Asar Es Dil Pe Hua
Khwahishein Baar-Baar Tujhe Dekhne Ki Karta Hu
Samjhate Dil Ko Magar Aawara Bhatakta Hu
Kabhi Nahi Kaha Wo Aaj Kehta Hu
Bas Itni Si Baat Hai,
Mujhe Tumse Pyaar Hai...
Tujhe Pane Ki Chah Me
Jiya Bekarar Hai...

 

Chale Meri Rahein Jaha, Waha Teri Gali
Lamhon Ki Ye Sajishein, Tu Mujhe Mili
Banda Khuda Ka Aaj Tera Hona Chahta Hu
Dil Me Jagah Hai Khali, Tujhe Rakhna Chahta Hu
Kabhi Nahi Kaha Wo Aaj Kehta Hu
Bas Itni Si Baat Hai,
Mujhe Tumse Pyaar Hai...
Tujhe Paane Ki Chah Me
Jiya Bekarar Hai...

 

Zindagi Hai Yaha, Dhoop Chaav Sahi
Teri Galliyon Me Mit Jayegi Har Kami
Tere Hi Saath Chalne Ki Tammana Rakhta Hu
Khud Se Bhi Jyada Tujhpe Jaan Deta Hu
Kabhi Nahi Kaha Wo Aaj Kehta Hu
Bas Itni Si Baat Hai,
Mujhe Tumse Pyaar Hai...
Tujhe Paane Ki Chah Me
Jiya Bekarar Hai...

 

Adhoore Tum Bin Thehre Hum Yaha
Yaadon Me Teri Chup-Chupke Roye Tanha
Khamoshi Ye Dil Ki Zuban Pe Lana Chahta Hu
Mitenge Jaroor Par Tera Hona Chahta Hu
Kabhi Nahi Kaha Wo Aaj Kehta Hu
Bas Itni Si Baat Hai,
Mujhe Tumse Pyaar Hai...
Tujhe Pane Ki Chah Me
Jiya Bekarar Hai...

 

 

 

Written By Rupesh Sawardekar!

 

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ