Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Zindagi Bata

 

Ek Saya Bankar Chal Rahi Thi Wo Mere Sath
Na Jane Kyun Usko Thi Meri Talaash
Gham Ke Badal Toh Anek The Usike Maujudagi Me
Badalte Rutiyon Ki Kami Nahi Thi Jeene Me
Aisi Paheli Zindagi Tu Aaj Raaz Bata...
Kyun Degayi Tu Mujhe Jeene Ki Saja?

 

 

Aankhon Me Base Sapnon Se Toh Tune Dur Rakha
Na Jane Kitne Barsaaton Ke Baad Tune Mujhe Chaha
Kabhi Dhundhta Raha Tera Zamaane Me Pata
Dhundhne Se Bhi Na Mila Mujhe Mera Khuda
Aisi Khamosh Zindagi Tu Aaj Raaz Bata...
Kyun Muskurane Ke Peeche Mile Mujhe Mere Gham Ka Pata?

 

 

Kabhi Apna Ke Toh Kabhi Thukra ke Alag Hi Mazak Kiya Tune
Jisko Kabhi Chahakar, Na Use Milakar Zeher Bhar Diya Dil Me
Wafadari Lekar Chal Toh Raha Hu Safar Me
Par Beimaani Ki Jwalayein Aag Laga Deti Hai Seene Me
Aisi Badalti Zindagi Tu Aaj Raaz Bata...
Kyun Banaya Tune Dil Ke Saudagaron Ka Makaan?

 

 

Daulat Ki Toh Tune Khub Duniya Dikhayi
Par Insaaniyat Ki Na Koi Pehchan Dilayi
Ulaz Raha Tha Aadmi Aur Paise Ke Beech Me
Yakin Aaya Tab, Jab Duniya Me Kimat Na Mili Paise Ki Gairmaujudagi Me
Aisi Mayavi Zindagi Tu Aaj Raaz Bata...
Kyun Nahi Milta Aajkal Kisi Dil Se Aamir Ka Pata?

 

 

 

Written By Rupesh Sawardekar!!!

 

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ