Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Maut ka badal

 

Arsalaman puri tarah apne gusse mein tha, use Sagir ki bewakufi pasand
nahi ayi islye woh itna gussa ho raha tha Sagir ki wajah se na jane
aaj kis ki maut hone wali hai yehi soch kr sab pareshan hone lage,
Shaukat khidki se satkar khada hokar bahar ki taraf dekh raha tha
achanak ek dum mausam ki jo bodyless voice thi woh badalne lagi jab
maut ka badal aana shuru hua tab usmein se band bajo ki awaaz aa rhi
thi jese kahin baraat chadh rahi ho dekhte hi dekhte wph awaaz aur
khatarnak hoti chali gyi ye awaaz itni dadrnak thi k use sun kr sab
dar gye awaaz pal pal aur bhi khatarnak hoti jaa rhi thi tbhi
Arsalaman ne Shaukat ki taraf dekha aur bola,
Tu khidki k paas kya kr raha hai |
Nazara kr raha hu apne aane wali maut ka | Bahar dekh mausam kitna
suhana ho raha hai | Shaukat ne khidki se bahar dekhte hue kaha
Khoon ! Khoon ki dhar beh rahi hai , itna khoon kaha se aaya ye abhi
khali tha Arsalaman ne bhi khidki se baahar dekhte hue kaha
Samandar....... ye ab khoon ka samandar ban chuka hai | Shayad ye
khayi makan k charon taraf islye hi bani thi Shaukat ne jawab diya
Main bhi dekhu Sabir ne kaha
Dar jayega aur itna darega k saat din baad hosh ayega phir kahega I
hate blood sea..Arsalaman ne Sabir ki taraf dekhte hue kaha
Koshish karunga nahi darne ki Sabir bola
To phir dekho Arsalaman ne kaha
OMG!! chee.. chee ..tumhe ise dekhr kr ulti nahi ho rahi Sabir ne munh
bigardte hue kaha
bola tha dar jayega ise dekhne k lye bahut bada jigar chahye Arsalaman ne kaha
ek baar paido ko aur dekhle unki bhi khubsoorti ka nazara kar le
Shaukat ne bahut dheere dheere bola
Saale haiwan k sath reh reh kr khud bhi haiwan ban gya hai dil hai
tere andar ya woh bhi bech dala Sabir ne gusse k andaz mein kaha
Kya hua Sabir kya nazara hai bahar ka Sadia ne pucha
Allah pak ki kasam itna ganda khoon aur in kambakhton ko use dekh kr
ulti nahi ho rahi |
Shaukat khoon kahan se aaya Sidra ne pucha
pata nahi yahan to charon taraf khoon hai, paid bhi khoon se naha rahe
hain aisa lag raha hai jese khoon ki baarish hui ho Shaukat ne dheere
dheere jawab diya
OMG!! dekh dekh dekh...udhar Anam aur Shavez khoon mein doob rahe hain
Arsalaman ne udhar ishara karte hue kaha..

 

 

Shaukat Ali

 

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ