Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

AB HAM NA TERI YAAD ME ROYENGE BAITH KAR.

 

AB HAM NA TERI YAAD ME ROYENGE BAITH KAR.
YE QIMATI SA WAQT NA KHOYENGE BAITH KAR.


MUJH KO BHI YAAR CHAHIYE DILDAR KI BAHE.
AB HAM NA DUKH KE KAAT PAR SOYENGE BAITH KAR.


TUJH KO MILEGI YAAR MERE QATL KI SAJA.
AB HAM YE KHOO'N KE DAAG NA DHOYENGE BAITH KAR.

 

HAM CHAHTE HAI AB HAMARI BHOOKH TO MITE.
AB HAM NA BHOOKHE ROTIYA POYENGE BAITH KAR.

 

NAFARAT ME AAKE MAINE APNA GHAR JALA DIYA.
NAFARAT KE BEEJ HAM NA AB BOYENGE BAITH KAR.

 

AB HAM HOONAR KA APNE ISHTEMAAL KARENGE.
AB BEWAJA NAKARA NA HOYENGE BAITH KAR.


। शिव ।

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ