Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Deshbakti

 

 

Ye kaam kar du pehle to saas aaygi mujhe.
In amar shaheedo me apni jaan daal du.


Is desh se badh kar mera majahab nahi raha.
Maa bharti ke charno me quraanan daal du.


 

kartavya se apne nahi pathbhrast ho koi.
Sapatho me kisi mard ki jubaan dal du.


geeto se har ek ghar me mai vallabh shubas du.
ghazalo me apni umda rashtrgaan daal du.


ho jaye wo qurbaan apne desh ke liye.
bachho me apne is tarah ke gyan daal du.


 

jite rahe hai is desh me mar jaye'n desh me.
mai deshwasiyo me ye abhimaan daal du.



mai nek kaam karte huwe chu lu bulandi.
Kuch karke naya desh me ek shan daal du.


bachho se le ke budhe tak watan parast ho.
Jan jan me inkalab ka tufan daal du.


geeto me kisi husn ki tareef kyu karu.
Geeto me apne desh ka gungaan daal du.



charo dishao me sada guje'n watan ke geet.
Gano me rashtr geet ki kuch taan daal du.

 


'shiv'

 

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ