Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Hamare sath ho lena agar mushkil najar aaye.

 

Hamare sath ho lena agar mushkil najar aaye.

Akele hi chale jana agar manzil najar aaye.

 



Tumhara doob jana hi sikha dega tumhe jina.

Kahi'n bhi doob jana tum agar sahil najar aaye.

 


unhi makhmal ke hatho se mujhe bhi qatl hona hai.

Khabar mujh ko bhi de dena agar qatil najar aaye.

 


tumhe apna banane ka junoo'n rakhta hai mera dil.

Ise apna bana lena agar qabil najar aaye.

 


diljalo ko yaha'n aksar jakham milte hai foolo se.

dilo pe hath mat rakhna agar gafil najar aaye.

 


fasado se ya dango se shahadat mil nahi sakti.

Rehnumao ki mat sunana agar jahil najar aaye.

 


bina ladki ki marzi se ishakbaji na farmana.

Dabe pairo nikal lena agar saindil najar aaye.

 


use tum ajmane me mohabbat na gawaa dena.

kahi'n bhi dil laga lena agar sangdil najar aaye.

 


abhi tu sher kehne ke nahi qabil hua hai 'shiv'.

tu koso door hi rena agar mehfil najar aaye.

 

 

 

'shiv'

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ