Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

Mujh ko yaar bana legi wo itni usme wafa nahi

 

Mujh ko yaar bana legi wo itni usme wafa nahi.

Mujh se haath chuna legi wo itni bhi bewafa nahi.

 

 

Jaan loota du uspe apni uske ek ishare par.
Itani bhi khushrang nahi wo itani bhi wo jawaa' nahi.

 

 

khud pe naaj jo karti hai wo jo itna itarati hai.
Ham ne hi kya khoob kaha hai jo itna sharmaati hai.
Khud ko ishk samajhti hai wo isme uski khata nahi.

 

 

us jalim janam dilbar ne aisa rog lagaya hai.
Dard mere is dil ko de ke raat ki raat jagaya hai.
dard hamara kam kar de jo aisi koi dawa nahi.

 

 

khaye hai pathar jiski khatir aate jaate logo se.
Maag li uske liye duwaye dil dukhate logo se.
Mujh aankh chura legi wo itani bhi behaya nahi.

 

 

dil ko loota du jaan loota du ijjat kaise lootau mai.
Aankh tumhari nashe ki pyali iski lat kyu lagaau mai.
Mujh se meri ijjat bikwa de aisa tera nasha nahi.

 

 

 

'shiv'

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ