Swargvibha
Dr. Srimati Tara Singh
Administrator

शुभ नवरात्री

 

Ham par ye upkar karo maa.
Dusto ka sanhar karo maa.
Failaye chadar andhiyara.
Jivan ko ujiyar karo maa.


 

Dunia me kyu paap badha hai.
Dukhiyo ka santap badha hai.
Dukh dukhiyo ka har lo ambe.
Ashru ko amrit dhar karo maa.


 

Bhakt tumhare bhukhe pyase.
Aa jaye'n na paap ke jhanse.
Bhukha koi mar na paye.
Ann dhan ki bharmar karo ma.


 

paap ke dhool me sane na koi.
Dust adharmi bane na koi.
Dharam karam aur rastrprem se.
Bhakto ka shringar karo ma.


 

Jab jab atyachar badhega.
Santo ka sanhar badhega.
Is dunia ka kya hoga tab.
Is par kabhi vichar karo maa.


 

Aaya hu mai sharan teri maa.
Kar lo mujhko waran meri maa.
Mujhko apni gond me lekar.
Mata sa vyavhar karo maa.


 

Bina sahara dub raha hu.
Maya moh se ub raha hu.
Apni daya ki naav chalakar.
Meri naiyya paar karo maa.


 

Geeta ko islam bana do.
Rahiman ji ko ram bana do.
Dango ka vyapar khatam ho.
Hamko ek pariwar karo ma.

 

 

 

 

'shiv'

 

 

Powered by Froala Editor

LEAVE A REPLY
हर उत्सव के अवसर पर उपयुक्त रचनाएँ