hamne aaj fir ye bataane ko kalaam rakhaa hai
toofaano me bhi shammaa ne lau ko thaam rakhaa hai
dekhe kyaa mile aaj hamko apane naseeb se
hamne aaj unaki mehafil me jaa ke salaam rakhaa hai
ke mujhko kahin bhool na jana tum ai maya-kasho
ab bhi mayakhaane me mere hisse ka jaam rakhaa hai
shaayad mujhse mil ke unakaa man abhi bharaa nahi
tabhi to yun usane fansaa ke meraa kaam rakhaa hai
waise to hame bhi maaloom hai zanaat ki haqeeqat
fir bhi hamne uska ye khayaalo-khaam rakhaa hai
mushkil tha sang jisake ek pal bhi haaye kaatanaa
un tanhaaiyo ko sang apane umra tamaam rakhaa hai
poochhate hai gairon se kyaa hai deewaane ka naam
jaa ke khud hee bataa dete hai, ki vipul naam rakhaa hai............vipul
Powered by Froala Editor
LEAVE A REPLY